KhizaN ke rang mein bhi bahaar abhi baqi hai

Madhvi
0
KhizaN ke rang mein bhi bahaar abhi baqi hai


KhizaN ke rang mein bhi bahaar abhi baqi hai
Chirag-e-sahar hai par intazar abhi baqi hai
HameiN salam karo aye hawaadis-e-dauraN
Tumhaare saath hain phir bhi qarar abhi baaqi hai
Guzar chuka hai ummidoN ka qafla kab ka
Rah-e-yaqin per ab bhi ghubar abhi baqi hai
Hamein pukaar lo jab chaho ham milenge wanhi
Mile hain Khaak mein lekin Waqar abhi baqi hai

Post a Comment

0Comments

Post a Comment (0)